--फ़िल बदीह का हासिल -
Main agar mazboot hoon murdaar to tu bhi nahin,
Raasta roke mera wo haar to too bhi nahin,
Barq aaii thi kabhi girne, dabistaaN ki taraf,
Maine hans ke kah diya, gulzaar to tu bhi nahin,
Khud ba khud to jal rahi hai,tu sarapa aag hai,
Ghar jala kar hans saki,har baar to tu bhi nahin,
Muddaton se jal rahe hain ham to sehra ki tarah,
Par samandar saA kahin kirdar to tu bhi nahin
Bewafai ka abas,ilzaam kyun mere taiiN,
Saahib-e-kirdaar saa gham khwaar to tu bhi nahin,
ZindagI ko jaa-b-jaa ruswa kare hai kisliye,
Sach to ye hai pyar se, bezaar to tu bhi nahin....
Urmila Madhav..
23.8.2017
No comments:
Post a Comment